Ruth huye sapno ko yu na bhujha
Soye huye himmat ko fhir sae jaga
Rasto mae gadhe to aayenge hi
Bolne wale to bolkr jyenge hi
Are tera haal kisne pucha hae
Tera kal kisne dekha hae ?
Jab aakho mae arman liya
Manjil ko apna man liya
Hae muskil kya! Aasan kya
Jab thaan liya to thaan liya
Tera rasta kisne roka hae
Tera kal kisne dekha hae ?
Apne paresaniyo ko kab tak bhagayega
Past ko soch kar kabtak pachtayega
Apni manjil par kbhi ni pahuch paoge
Agar raste mae har bhokne wale kute ko pathar maroge
Abee tera sath kisne diya hae
Tera kal kisne dekha hae ?
Agar bhagwan ke bharose hi rahega
Too kismat ka hi milega
Likin apne kabiliyat par vishwas karege
Too apne matlb ka milega
Aree tera manjil kisne taye kiya hae
Tera kal kisne dekha hae ?
Theta ke bina sin-cos ki value ni hoti
Knowledge ke bina insan ki degree ni hoti
Kab tak ache marks keliye hi padhega tu
Kabhi to apne dil ke v sunega tu
Tere pyas ko kisne bujhaya hae
Tera aane wale kal ko kisne dekha hae ....
Tera kal kisne dekha hae ...
Kl kisne dekha hae ?
Badhia
ReplyDeleteMast
ReplyDelete🔥🔥 u rocks
ReplyDelete